Thursday, December 18, 2014

Modified Ishq.!!




Mehfil101





Modified Ishq.!!



Modern zamane mein “Sagar” Ishq bhi hua Modified.!

Tishu-Paper-sa ho gaya Maashuq Use kiya Fir Thro.!!


Na Lailla kee Shokhi hai Na Majnu-si Muhabbat hai.!

Cafe mein Milti hai aur Roz Bistar pe Dum Todati hai.!!


Fana hote the Ishq mein Wo Parwaane kahaan hain.!

Wo Shamma bhi ab Bhuz gayi guzare zamaane ki ho.!!


Ruswaa na ho Muhabbat har Aashiq kee Koshish thi.!

Aaj dikhawe ka zamana Wo Ishq kya jo mashur na ho.!!


7368-1970398_765134256855799_8973228506639719832_n.jpg


Deedar-e-Husn ka lutf Hijab se nikale Aaftaab se hota.!

Zamana Gawaha Asal Intzaar Chaand ka Eid par hota.!!


Filed under: Ghazals Zone






No comments :