Thursday, November 27, 2014

Nazam.!!




Mehfil101





Nazam.!!



Na teri hai na meri hai,


Ye Duniyan hai nahin apni.!


Jo mera hai nahin mera,


Ye Jism aur Jan nahin apni.!!



Faqt iq chaha se Dilbar,


Dil-e-dhadkan nahin chalti.!!


Bina Mehboob ke”Sagar”,


Yahaan Zindgi nahin kat-ti.!!



Baagon ki khili kaliyan,


Teri hi yaad dilaati hain.!


Teri soorat nazar aaye,


Wo jab khil-khilati hain.!!



Tujhe dekhun jee bhar,


Faqt intni tammana hai.!


Tu mere samne ho aur,


Jan jaye yahi tammna hai.!!



Koyi”Sagar”ka tere bin,


Kabhi bhi ho nahin sakta.!


Tera sahil bhi mere bin,


Koyee bhi ho nahin sakta.!!




Na Hindu hai Na Muslim,


Ye to bas Muhabbat hai.!


Jo tere Mulk se nikali,


Mere Watan tak pahunchi hai.!!






Filed under: Nagama-e-Dil Shayari






तेरी बेरूख़ी .!!




Mehfil101





तेरी बेरूख़ी .!!



तेरी बेरूख़ी ने यारा  हमें बहुत  दर्द  दिया.!

सोचता हूँ क्यूँ ना तेरी ज़ुस्तज़ू ही छोड़ दूँ.!!


Teri berukhi ne Yaara Humein bahut Dard diya.!

Sochta hun kyun na teri Zustzoo hi Chod doon.!!


Filed under: Shayari-e-Dard






अलविदा.!!




Mehfil101





अलविदा.!!



सोचता हूँ क्यूँ ना बज़म को अलविदा कह दूं.!

मेरे  शेर-ओ-शायरी  की  ज़रूरत  यहाँ  नहीं.!!



Sochta hun kyun na Bazm ko Alvida keh dun.!

Mere Share-o-Shayari ki zarurat yahaan nahin.!!


Filed under: Shayari Khumar -e- Ishq






खता.!!




Mehfil101





खता.!!




ये मेरी खता थी तुझे क़ातिल बना दिया.!

ये मुहब्बत भरा दिल घायल करा लिया.!!


Ye meri khata thi tujhe Qaatil bana diya.!

Ye muhabbat bhara dil ghayal kara liya.!!


Filed under: Shayari Khumar -e- Ishq






पता नहीं.!!




Mehfil101





पता नहीं.!!



मुहब्बत की बातें जो उनसे की.!

हर सवाल का जवाब था पता नहीं.!!

ये सोच परेशान हम हुए.!

अपना घर भी याद या पता नहीं.!!



Muhabbat ki batein jo unse ki.!

Har sawal ka jawab tha Pta nahin.!!

Ye soch pareshaan hum huye.!

Apna ghar bhi yaad ya Pta nahin.!!


Filed under: Shayari Khumar -e- Ishq