Sunday, November 30, 2014

याद.!!




Mehfil101





याद.!!



कुछ बंधन ऐसे होते वक़्त गुज़रे याद रहते हैं.!

रिश्ते ना बने फिर भी उमर भर साथ रहते हैं.!


Kuch bandhan aise hote waqt guzare  yaad rahate hain.!


Rishte na bane phir bhi umar  bhar  saath  rahate hain.!!


Filed under: Shayari Khumar -e- Ishq






Saturday, November 29, 2014

ishq tanha hi rahta hai bejuban bankar




Mehfil101





ishq tanha hi rahta hai bejuban bankar






गर वफ़ा नहीं.!!




Mehfil101





गर वफ़ा नहीं.!!



गर वफ़ा नहीं दिल में,

मुहब्बत के डीप जलाइए ना.!

सागर“की मोजों में,

बिन इरादों किश्ती चलाइए ना.!!


Gar wafa nahin dil mein,

Muhabbat ke Deep jalaiye na.!

Sagar“kee Mojon mein,

Bin Iradon Kishti chalaiye na.!!


Filed under: Shayari Khumar -e- Ishq






Friday, November 28, 2014

तेरे बगैर जीने का खवाब देखा नहीं कभी.!!




Mehfil101





तेरे बगैर जीने का खवाब देखा नहीं कभी.!!



तू गर ना मिली तो बता इस दुनियाँ का क्या करूँ.!

तेरे  बगैर  जीने   का  खवाब   देखा   नहीं   कभी.!!


3

Tu gar na milee to bata is duniyan ka kya karun.!

Tere bagair jeene ka khawab dekha nahin kabhi.!!

Filed under: Shayari Khumar -e- Ishq






shayari – tere siwa duniya me hai apna kya, kuchh bhi nahi




Mehfil101





shayari – tere siwa duniya me hai apna kya, kuchh bhi nahi






Thursday, November 27, 2014

Nazam.!!




Mehfil101





Nazam.!!



Na teri hai na meri hai,


Ye Duniyan hai nahin apni.!


Jo mera hai nahin mera,


Ye Jism aur Jan nahin apni.!!



Faqt iq chaha se Dilbar,


Dil-e-dhadkan nahin chalti.!!


Bina Mehboob ke”Sagar”,


Yahaan Zindgi nahin kat-ti.!!



Baagon ki khili kaliyan,


Teri hi yaad dilaati hain.!


Teri soorat nazar aaye,


Wo jab khil-khilati hain.!!



Tujhe dekhun jee bhar,


Faqt intni tammana hai.!


Tu mere samne ho aur,


Jan jaye yahi tammna hai.!!



Koyi”Sagar”ka tere bin,


Kabhi bhi ho nahin sakta.!


Tera sahil bhi mere bin,


Koyee bhi ho nahin sakta.!!




Na Hindu hai Na Muslim,


Ye to bas Muhabbat hai.!


Jo tere Mulk se nikali,


Mere Watan tak pahunchi hai.!!






Filed under: Nagama-e-Dil Shayari






तेरी बेरूख़ी .!!




Mehfil101





तेरी बेरूख़ी .!!



तेरी बेरूख़ी ने यारा  हमें बहुत  दर्द  दिया.!

सोचता हूँ क्यूँ ना तेरी ज़ुस्तज़ू ही छोड़ दूँ.!!


Teri berukhi ne Yaara Humein bahut Dard diya.!

Sochta hun kyun na teri Zustzoo hi Chod doon.!!


Filed under: Shayari-e-Dard






अलविदा.!!




Mehfil101





अलविदा.!!



सोचता हूँ क्यूँ ना बज़म को अलविदा कह दूं.!

मेरे  शेर-ओ-शायरी  की  ज़रूरत  यहाँ  नहीं.!!



Sochta hun kyun na Bazm ko Alvida keh dun.!

Mere Share-o-Shayari ki zarurat yahaan nahin.!!


Filed under: Shayari Khumar -e- Ishq






खता.!!




Mehfil101





खता.!!




ये मेरी खता थी तुझे क़ातिल बना दिया.!

ये मुहब्बत भरा दिल घायल करा लिया.!!


Ye meri khata thi tujhe Qaatil bana diya.!

Ye muhabbat bhara dil ghayal kara liya.!!


Filed under: Shayari Khumar -e- Ishq